Monday 23 September 2013

Chidiya ke geet

Jab main chhoti thi, jag ka
Andey jaisa tha aakaar;
Tab main yahi samajhti thi
Bus itna sa hi hai sansaar!

Phir mer ghar bana ghonsla
Sookhe tinkon se tayyar
Tab main yahi samajhti thi
Bus itna sa hi hai sansaar.

Phir main nikal padi shaakhon par
Hari bhari thi jo sukumar;
Tab main yahi samajhti thi
Bus itna sa hi hai sansaar.

Lekin jab main aasmaan mein
Udi door tak pankh pasaar
Tabhi samajh mein meri aaya
Bahut bada hai yeh sansaar!